Aaj dekho mujhe kya mila hai, main bank gaya hua tha mummy ke saath unko kuch paise nikaalne they. To unhi ki help karne ke liye gaya hua tha waha se hume 100 rupya wala naya note mila hai. Abhi tak ye note bazaar me aaya bhi nahi hai kahi kahi me mil raha hai. Ye wala note mujhe 500 aur 2000 rupya wala note se achha laga yaar. Ye note thoda achha hai.
Lekin agar hum pahle waale note se compare kare to pahle wala hi achha tha. Uska color uska size sab kuch mujhe achha lagta hai ye wala to sala bekaar hai, Iss ka color bhi kuch khaas nahi hai ye to fir bhi thoda thik hai lekin 500 aur 2000 ke naye note to bilkul hi bekaar hai wo sala aisa lagta hai jaise churan wala note hote hai na wahi churan wala note jaisa lagta hai. Kyo friends sahi bol raha hoon ki nahi main.
Bhai log 100 rupya ka naya note aap ko ab tak mila ki nahi mila hai. Mujhe to 100 rupya wala note darshan ho gaye hai ab aap ko bhi jaldi mil jaayega. Maine ye bhi suna hai ki 150 rupya wala sikka aane wala hai ab dekho ye wala aata hai ki nahi. Mujhe to doubt lag raha hai ab dekhte hai kya hota hai.