Roti chicken naasta kar lo friend

Words
181
Reading
1 min
Listen
Play
8y

Kese ho friend naasta kya ki nahi nahi kiya to aa jaao naasta karte mast saath me mil ke. Mummy ne mast naasta me chicken aur roti banaya hai waise lunch me bhi yahi rahega. Jyada banaya hai taaki lunch me bhi yahi chale. Koi baat nahi abhi bana hai lunch me bhi mast khaaunga. Roti aur chicken khaane me maja bahut aata hai isliye jaa raha hoon khaane ke liye. 

Ab tak khaaya nahi hai photo leke socha pahle post bana leta hoon uske baad khaaunga agar aap ko bhi khaana hai to aa sakte ho friend main aap ko mana nahi karunga. Meri mummy bahut mast chicken banati hai khaane me bahut swaad lagta hai aur bahut tasty hota hai. Kabhi aap khaaoge tab pata chalega.

Aap to aaoge nahi to fir main jaa raha hoon akele hi khaaunga, Naasta me bahut din baad chicken khaa raha hoon pahle dinner ya fir lunch me hi milta tha naasta me kabhi ye na mila. Aaj jaa raha hoon khaane ke liye pahle khaa leta hoon fir aap se baat karunga.