Aik aur din guzar gaya, zindagi ka safar yunhee chal chalau Kay alum main hay. Na janay kub aur kahan yeh safar tamam ho Jaye. Lekin khuslath e Hazrat e Adam kahan badulti, yeh nufs e Amara her waqt uksatha rehta Kay Kay kuch ker lu, note chaap lu jesay sari umer yahan he rehna thay hay. Jawani aur sehat bhi Bahar haal rehni hay.
Wahan Azul say yeh baat likhi hui Kay her nufs ko Maut ka zaiqa chukna hay. Nufs ko yeh fiker Kay mauth aye tu uska Ghar bhi Khali Hu Jana hay.
Abh yeh bukhul bhi ajeeb bemari hay Jo main nay siraf kuthay aur insan main daikhi hay. Dunu na khud khatay Hain na duusrun ku khanay detay Hain. Allah aesi bemari say apnay hifz u amaan main rakhay.
Crypto khaas ker Hive ki nayia dawan dol hay. Yahan bhi kuch harami makhlooq bahut dharalay say ghuroor main mubtalah thi aur abh yehi currency Hawa main tehleel hoti ja rahi hay. Hive ko yurapi logun nay kharab Kiya khaas ker naam nahi lun ga zahir hay punga kiyun lay bunda abh.
Baaz abh bhi nahi a rahay yeh Mamu loog, shayad tub samjhain gain jub na baans rahay ga aur na rahay ge bansuri
Yeh saal bahut bhari raha aur abhi tu mazeed kuch mahinay baqi Hain, na janay aunt kis karwat Bethay.
Yaar loog bhi chain nahi lenay detay. Koi na koi shusha chorhay detay Hain. Aj aik bunday nay bola Kay motorcycle sawar bhi machar ki Maut martay Hain. Allah he maaf karay bus....
Aj garmi ki wajah say thukun kuch ziada he hay, kuch zehni takhawat bhi hay. Inspection kaha drug mafia nay per aye nahi du din say, Pata nahi Kiya mazay lethay hum say. Hum poori tayari kertay aur masoof Hazraat tashreefawari ka naam he nahi lethay. Kaun sudharay ga Iss qaum ku.
Abh ankhain nend say bhujal Hain aur hum bister ki aur chal parhay Hain. Baqi Kal miltay kisi achi khushbu bhari baat Kay sath.
Khush rahain aur khushiyan bakharain
Rub Rakha