Salam Kiya haal chaal Hain. Naya hafta Shoro ho Gaya gay, pehla din bhi guzar Gaya, her din zindagi ku bhurapay aur maut ki taraf liye ja raha. Umeed hay barish say lutfanduz huway hun gain agar tu barsat ki phuwarain parh rahi Hain ap ki taraf.
Garmi aur hubs kafi zordar hay. Oper say wapda nay koi kasar nahi chorhi. Bijli baraye naam hay aur dil seekh u taab hay.
Poora poora din zindagi ki bunyadi zaruriath say mehroom hum swam jayain tu kahan jayain. Na bijli, na gas aur na he pani. Hud hay wesay koi farq he nahi parhta. Khud tu her sahulath muhayia in logun ko, dusru gaye bhaar main.
Bill mahinay ka Atha tu tabiat aur kharab ho jati. IMF Kay qarzay bhi hum uthaarain, mulk bhi hum sanwarain, mazay siraf naam nihaad ishrafia karay.
Allah he reham karay. Roz e qayamath pochain gain zarur Kay baray Ilaha hum tu aik jahanum guzar chukay, abh dusri ki sakath nahi....
Football main abh daikhiye Kiya, Kiya England Argentina ko shikasht day paye ge. Mushkil lag raha hay mujhay tu, ap logun ka Kiya khayal hay.
Ecency ka daily quests bahut shandar hay. Leaderboard pay achi khasi activity jari hay. Subhi loog apna hisa daal rahay. App bhi Zara hulki ho gayi hay aur juldi load ho jati hay.
Scrobble.life pay bhi activity achi hay. Music, movies, books, Manga, anime, podcasts aur games, Jo dil chahay review karain. Browser extension ap ki watch history ko Hive blockchain pay record kerta hay. Wahan bhi leaderboard hay. Ap chahain tu short review likhain yah long, dunu ka option maujood hay.
Michael Saylor apni baat say phir Gaya aur bawajood iskay kabhi bitcoin nahi beechay ga, tabahi Macha di beech ker aik bhaari amount. Jis ki wajah say market ko duchka laga hay kafi. Risk tu hay Bahar haal Iss waqt buying ka acha mauqa hay. Khaas ker Hive ki price buying Kay liye bahut barya hay.
Logun ka rujhaan Ai ki taraf ziada hay. Ai bhi bahut tezi say progress ker rahi hay. Abh jahan nazrain wahain pay nishana hota hay. Iss damachukri main crypto kafi
affect hui hay. Kher bull run main sari kasar nikal Jaye ge.
Ghup andheeray main Bethay ankhain dhundla gaye Hain. Abh ya tu punkha chalayain ya bulb. Dunu tu nahi jala saktay kiunkay pichlay 4 ganthay say bijli na darud.
Naik tamanayain Ap logun Kay liye aik acha hafta guzray.
Dunia main Jung bundi Hu aur yeh Iran, Palestine aur Ukraine main juld az juld amun qayam u dayam Hu.
Khush rahain aur khushiyan bantain...
Miltay Hain Kal phir kuch nayi baat Kay sath. Apna khayal rakhiyeye.
Rub Rakha