Salam pyaray dostu umeed hay ap ka din acha guzra ho GA aur football say lutf anduz ho rahay hun gain. Sham ki chai pee, yeekeenun pee Li ho ge, baaz kahan ayain gain ap loog, halankay sakht garmi hay. Kher fikay ki lassi tu dopeher main ghata ghut pee gaye hum bhi. Kia lassi bunata hay yaar.
Ronaldo world cup ka taaj Sur pay nahi saja saka. Messi lagta hay dobara he yeh trophy lay urhay ga. Qismat ka dhuni ho tu aesa. Ronaldo bahaisiath insan bahut Ala admi is Kay. Dunia Kay apnay he niralay rung roop.
Bashir Badr marhoom ki mashahoor ghazal yaad a rahi hay. Pehlay du misray tu Kamal Kay Hain.
یوں ہی بے سبب نہ پھرا کرو
کوئی شام گھر بھی رہا کرو
Jawani bhi ajub dewani hoti hay. Woh baqool kusay yah shakhsay awaragardhi aur mung puli dunu Shoro tu ker letha bunda per khatam hunay ka naam nahi lethi phir.
Bahut ghumay hum bhi aik awara badal ki Tara, raat main kisi train Kay dabay main yah kisi bus main aur subah galiyan aur bazaar maptay phirtay. Kiya Kiya loog milay in safrun main. Sunayain gain qisay aik aik ker Kay. Aik dil hazar dastaan hamara dil bhi hay.
Umr e tafta teezi say anjaam ki taraf gamzun hay. Chalis Kay paitay main a gaye hum. Peechay daikhu tu sub bahut juldi main guzar Gaya. Seemabi fitrat hamari, tehernay ka naam kahan laithi.
Zindagi khubsurat bhi bahut lekin kuch logu pay bahut bhari bhi. Zauq nay bhi Kiya khoob kaha hay.
اب تو گھبرا کے یہ کہتے ہیں کہ مر جائیں گے
مر کے بھی چین نہ پایا تو کدھر جائیں گے
Almukhtasir, zindagi ku dhung say aur bhurpur jiya kijiyeye, kuch khabar nahi Kal Kiya ho Jaye. Bashir Badr pay he aj ki baat tamam kertay Hain.
اجالے اپنی یادوں کے ہمارے ساتھ رہنے دو
نہ جانے کس گلی میں زندگی کی شام ہو جائے
Miltay Hain juld kisi nayi baat Kay saath. Khushiyan bantain aur khush raha karain.
Rub Rakha Sajnu thay bailiyu...