Part-4(meri soch)
Maine sirf un aunty se itna hi kaha tha ki aunty thoda sab bhagwan par chhada do aur bacha hua bechare kisi gareeb ko dedo bhagwan ye thodi bolte hai ki pura ka pura oil muje chhadao, lekin shayad meri baat inhe bhut kadwi lag gyi un aunty ne muje sab ke samne bhut suna diya matlb muje us time feel ho gya ki aaj mera din kharab hai muje yha se nikal lena chahiye, maine vha jot( diya) bhi nahi lgaya aur vha se nikal kar ghar aa rahi thi aur bas aate time mind mai yahi chal rha tha ki maine galat kyaa bola un aunty ko.. agar thoda sa oil pas mai khadi vo gareeb aunty usko bhi to de sakti thi itna oil unhone pathar ki murti par baha diya jo koi kaam ka nahi rahh gya tha phir.. itna andhvishvas hai logo mai.
Image Credits-https://pixabay.com/en/thought-idea-innovation-imagination-2123970/