Bachpan ke wo din bahut yaad aate hai yaar, Kitna achha tha jab hum chote they. School ka wo pahla din, Aap log to jaante hi ho bachha kabhi bhi school jaana nahi chahta hai. School ka pahla din wo bahut nakhde karta hai lekin ek baar jaise hi wo school jaane lag jaata hai fir usko school chodne ke mann nahi karta. Bahut yaad aate hai wo din.
Jab main chota tha to bahut masti kiya karta tha yaar aur school me to aur bhi jyada fun kya karta tha. School me tha to sochta tha ki kab college jaayenge school life bahut bekaar hai. Lekin yaar school life se jyada maja aur kahi nahi aata hai.
School se nikalte hai college me mushkile shuru ho jaati hai. College me itna dikkat aayi hai mujhe main aap ko kya batau yaar. Iss wajah se sochta tha ki kaash main bachha hi rahta to kitna achha hota. Kitna masti majaak karta tha bachha tha to. Koi chij ka tension nahi na career ki fikar na job ka darr.
Bas mast rahta tha khaata tha aur ghumta firta rahta tha. Lekin ab to yaar bas career ka hi chinta rahti hai aur future ke baare me hi sochte rahta hoon. Pahle superman aur spiderman ke baare me sochta rahta tha aur ab sala future ke baare me sochta rahta hoon ki pata nahi kya likha hai mere future pata nahi kya hoga future me.