Payaz aur ando ka salan

main ap ke le urdu main post bnane ki kosish karta ho ta k ap sub aram se parh sako aur ap ko koi bi muskil na aye main ne phele bi apke waste kahi post bnani hain aur us main apko ilaj ka btaya hain jo zaida hoti rehti hai wo ilaj main ne khud se nahi btaya tha wo main aik hakeem se poch k apko btata tha ta k ap sub log ghar main reh k arm se apna ilaj kar sake

is ke ilwa main apko wasate salan ke tareeke ka bahi btata ho kiyun k mujhe khane bnane ka bhot hi shoq hain kal mere pass time bahot hi kam tha tu jaldi main payaz aur ando ka salan bnaya jo k sirf 10 mint main tyar ho gya tu ap sub ko bta do ta k kabhi jaldi main ap sub o banana pare tu bna sakoo

payaz aur ando ka salan kaise bna sakte hain ?

  1. sub se phele payaz leyn

2 . 4 andar leyn

3 . laal mirch , haldi , garm masala leyn

4 . jub ye sari cheeze pori ho jaye tu adhrak ka paste bna leyn

tareeka .

  1. sub se phele ghee ko halki anch pe garm kare

  2. jub gheee garm ho jaye tu us main payaz daal deyn aur 3 mint k le dhaanp de

3 . jub payaz noram ho jaye tu us main haldi adhrak ka paste aur baqi sari cheeze daal k hilaye

4 . jub masla achi trha mix ho jaye aur payaz red ho jaye tu us main ande daal deyn

5 . ande dal kar 1 mint tak hilana nahi hain ta k andha ache se mix ho jaye

6 . ab achi tarha hila leyn aur 3 se 4 mint main apka salaan tyer hain

ye bahot jaldi main bnana pare tu ap sub bna sakte ho isi le ap k waste ye post bnanyi aur apko tareeka btaya


source : http://www.bawarchi.com/recipe/besan-aur-pyaz-ki-subzi-onion-fry-with-besan-oesa5giafbfbc.html

H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now