Surah mulk ki fazilat.

IMG-20210819-WA0000.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Surah mulk ki fazilat.

Hazrat Ibn Masood R.A farmate he ki qabar me aadmi pr pairon ki taraf se azab aata he to us ke pair kehte he ki meri taraf se aane ka koi rasta nhi, kyunki ye surah mulk prhta tha.

Phir vo seene ya pet ki taraf se aata he to seena ya pet kehta he meri taraf se tere liye aane ka koi rasta nhi he kyunki ye surah mulk prha krta tha.

Phir azab sr ki taraf se aata he to sr kehta he ki tere liye meri taraf se aane ka koi rasta nhi he, kyunki ye surah mulk prha krta tha.

Hazrat Abdullah bin Masood R.A farmate he ki ye surah qabar ke azab ko rokne wali he.

Taurat me iska nam surah mulk he, jis shakhs ne is ko kisi raat me prha us ne bahut zada sawab kamaya.

Shukriya..


H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now
Logo
Center