Nafas chote bache ki tarah he.

IMG-20210621-WA0001.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Nafas chote bache ki tarah he.

Ye insan ka nafas ek chote bache ki tarah he.

Jo maa ka dudh peeta he, or vo bacha dudh peene ka aadi bn gya.

Ab agr us se dudh churane ki koshish kro to vo bacha kya krega?

Roye ga, chillayega, shor machayega.

Ab agr maa baap ye soche ki dudh churane se bache ko badi takleef ho rhi he, chlo choro, use dudh peene do.

Allama Busiri R.A farmate he ki agr bache ko is tarah dudh peene ki halat me chor diya to natija ye hoga ki vo jawan ho jayega, or us se dudh nhi chhutega.

Is liye ki tum us ki takleef, us ki faryad or us ki cheekh pukar se dar gye.

Jis ka natija ye nikla ki us se duhd nhi chura saka, ab agr us ke samne roti late he , to kehta he me to nhi khaunga, me to dudh hi piyunga.

Duniya me koi maa baap ese nhi honge jo ye kahenge ki bache ko takleef ho rhi he dudh churane se, is liye dudh nhi churate.

Maa baap jante he ki dudh churane se royega, raat ko khud bhi jage ga hme bhi jagayega, lekin phir bhi dudh churate he.

Is liye ki vo jante he ki bache ki bhlayi usi me he.

Agr aaj us ko dudh na churaya to sari umr ye kbhi roti khane ke layek nhi hoga.

Isi tareeke se insan ka nafas bhi hota he, us ke muh ko gunah ki aadat lgi huyi he.

Gunaho ka zayeka or us ki chat lgi huyi he, jese bache ko dudh ki aadat lgi hoti he, or usko churana prta he, ye jante huye ki bache ko filhal takleef hogi.

Tab bhi uski aadat ko badlte he, isi tarah gunaho ko bhi churana chahiye, kuch dino tk ehsas hoga pr chor dene se aadat khatam ho jayegi gunaho ki.

Allah taala hme kabeera or saghira gunaho se bachaye, Aameen.

Shukriya..


H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now
Logo
Center