Gunah ke khel

4da55c99f547ca991d76906d850b255b.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Gunah ke khel.

Ese khel mna he or gunah hota he, jin me sharte badhi jaye, ya bazi lgayi jaye ya jin se kisi ko takleef pahunche.

Ya fir buri bate zabaan se nikali jaye, ya jin se buri aadate paida hu.

Kisi jandar ko bandh kr nishana ki mashaq krna azaab ki bat he, Hmare Hazrat Mohammad S.A.W ne sakhti se mna farmaya he.

Mehz mashaq krne ke liye kisi jandar ko nishana mt bnao.

Taash ganjfa shatranj, chors , goliyon se khelna, or kabutar baazi , teetr baazi, patng baazi or isi tarah ki tmam baaziyan mna he, bahut gunah ki baat he.

Esi baaziyo ke shauqeen nalayeq or bure aadmi hote he.

Achhe aadmi in tmam baato ko aib samjhte he, ese larkon ko zaleel smjha jata he, jo ese khel khele.

Shareef aadmi ese larkon ko pas bithana bhi pasnd nhi krte un se apni ladkiyo ki shadi krna bhi sharm ki baat smjhte he.

Aatish baazi yaani shab e brat me ya shadiyon ke mauke pr patakhe wgerah chore jate he vo bhi gunah he, un me bekar rupay kharch hota he.

Isiliye ese khel mt khelna jisse apne nuksan ke sath dusro ka bhi nuksan ho.

Shukriya..


H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now
Logo
Center