Kewal aap ko 2.45 lakh invest karna hai.

Hello Dosto, Main aap ko honey ki business ke baare me bata raha tha. ki kaise aap honey ka business shuru kar sakte hai kitna investment aayega aur kitna profit hoga. Ye sab main aap ko apni pichli post me bata chuka hoon. Yaha click kar ke aap meri wo post padh sakte hai. ( Honey ka business me kya hai faayda ) ab main aap ko kuch aur nayi chij batane jaa raha hoon. 

pexels.com

Aap ko kam se kam 2.45 lakh rupya ka karna hoga intezaam. 

Maine aap ko KVIC module ke baare me bataya tha, Agar aap bhi usi module ke hisaab se chalte hai to aap ko total 24.50 lakh invest karna hoga. Ghabraayiye mat dosto pahle puri baat sun to lijiye. aap ko apni taraf se kam se kam 2.45 lakh rupya lagana hoga. Uske baad sarkar aap ko 16 lakh ka loan degi aur 6.15 lakh ka to aap ko iss business me subsidy mil jaayega. 

To dosto hai na faayde ki deal bas 2.45 lakh me ek achha business shuru kar sakte hai aap aur aap ko iss business me profit bhi mast hoga. Yearly 10-12 lakh rupya kama sakte hai aap aur aap ka investment loan wagera sab kuch hi saalo me nipat jaayega. 

Ab main aap ko agli post me bataunga ki project cost kya hogi. Matlab kitni badi unit lagani hogi kitna kiss me kharch karna hoga kaise manage karna hoga. Bahut kuch bataunga main aage chalke aap ko isliye tab ke liye mere saath aap bane rahiye. Meri agli post ko jarur padhiye taaki jyada se jyada samajh sake. 

H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now
Logo
Center