Words
141
Reading
1 min
1y
Bhai bahuuut der se dekhi ye movie aapne aur isse pata chalta hai ki universe bhi aapko isse bachana chahta tha Parr wo kahte hain na honi ko kaun taal sakta hai. 😂
Nihayati bakwas movie hai ye.. meri patni ne to beech mein hi chhod bhi di thi par mujhe aasha thi ki end mein hi sahi par kuch explanation to denge hi.
Is movie mein logic dhundhna utna hi kathin tha jitna rahul kaandi ki baat samajhna hota hai.
Koi ek baat ho to uspar charcha ki bhi jaaye. Bahudha mujhe western film industry ki gehraai se research or logics ke adhaar par filmen banane ki baat hi sabse adhik lubhati hai par is film ne uss chhavi par bhi thuk diya. Matlab sach mein is movie ke makers pata nahi kaun sa nasha karke movie banane baithe the.
RE: Survive - Its not a movie title, but a challenge