kulfi south asia aur punjab pakistan aur india mai pae jana wali aik kamal ki food product ha . jisko bacha bara har koi shoq sa khata ha is mai itna taste hota ka poocho hi mat .kulfi banana ka lia sab sa pahla apko aik doodh chaiya sath mai apko rusk chaiya kiu ka ager ap khoya sa kulfi banana chahta ho to uski qeemat ap afford nahi kar pao gay is lia kulfi ko ap banana ka lia sirf aur sirf rusk istamal karo.
ab karna ya ha ka doodh ko dheemi anch par pakna do jab doodh garha ho jae to us mai rusk daal do grand kar ka sath mai cheeni daal do , phir is mahlol ko ap ksi freezer mai kuch ghanto ka lia rakh dain,
lo ji maza daar kulti tayaar ha ab ap ka ghar ager mehmaan aa rahay han to ap is ko bana kar rakh lain aur ya lamba arsa tak freezer mai store kia ja sakta ha is mai ksi qisam ki parshani ki koi baat nahi ha is sa ap lutf andoz hon hud b khaen aur dosto ka sath b ya tarika share karain.
ajj kal bazar mai jo kulfi milti ha us mai b khoya ki jaga rusk dala hota ha isi lia to kam qeemat par achi cheez mil jati ha