Salam aur naik tamanayain new week Kay liye. Garmi nay tabar torh hamlay jari rakhay huay, oper say hubs Lahore ka kuch kum qabil e bardasht nahi.
Sham ki traffic aur taqreebun 2, ganthay ka route kamar ka bura haal ker deti hay. Lekin insan ki complaints kahan khatam hoti.
Chalain Zara world cup pay baat ho Jaye. Football buntay tu shandar, Sialkot, Pakistan main. Khilari bhi hamaray kuch kum nahi. Bus hakumat siraf cricket pay he tawajah rakhi hui hay. Baqi taman tar khel roz ba roz ru ba zawal Hain.
Iss dafa waqt nahi, hamesha he nahi hota wesay. Poora match tu daikhna durkinar, mehuz jhalkiyan he daikh pathay.
Akhri 16 teams maidan main uther chuki Hain. Jin say umeed thi woh haar Kay apnay mulkun main pohnch chuki Hain.
Brazil Jo sub say ziada baat taaj apnay Sur saja chuki, woh bhi shikasht kah gayi. Neymar Kay liye dil mera udhas bahut. Behtareen Khilari aur insan, lekin qismat main Messi aur Ronaldo Kay Pulay ka nahi.
Kantay Kay muqablay hun gain abh. Shayaqeen kacha kuch maujood stadium main apni teams ko daad detay huway. Football ka hajoom alag he hay. Jiyna khel jaandaar uthna he tamashayi purjosh.
Meri pasundeeda team tu Portugal hay. Lekin Morocco 🇲🇦 pay dil a Gaya hay. Aik girlfriend meri Moroccon thi. Shayad yeh wajah ho yah phir Nora Fatehi ki dulkush adayain, abh janay bhi dain, begum na sun lay kahain.
Dhaiktay agay Kiya hota, teams sari mazbuth hain aur pulay ki Hain. Muqablay tu kafi dilchusp hun gain.
Ap log kis team ko pasand kertay. Batayeye ga zarur.
Khush rahain aur khushiyan bantain.
Rub Rakha