Pyaray sajnu kesi guzar rahi hay zindagani. Weekend ki Kiya tayari hay. Mosam tu kabaray haal kiye huway. Garmi ka Zor u shor hay, oper say hubs nay newa Kiya huwa. Chalu hum apni aik dastan synatay, zarur lutfaduz hun gain ap bhi yeh sun ker. Abh dastan e amir hamza ki Tarah hoshruba tu nahi... Per kher zamana bhi tu badal Gaya hay.
Lahori garmi main paharun ka rukh ker letay takay kaleejay main kuch thund parhay. Abh chutiyan hamain tu milri nahi. Begum kaan kah gaye kayi rooz say Kay bachun ku tu kahain lay jayain. Sawan bhi a Gaya per ap ki tu takay ki nokri... Haye bechara main
Jaan chuhranay Kay Kaye bahanay kiye per majal hay Jo ount kisi karwat Bethay. Saath main bhabiyun ko bhi Mila liya aur unhu nay apnay shohorun ko dabuch liya. Yaar logun nay yani shohar party nay aik din ka trip arrange ker liya. Jo begumath ki tabiatu pay nagawar guzra, abh khush kisi nay kub huna so chaar u lachar safar ki tayari aur shipping ki planning main lag Gayain khawateen hamari.
Alasubah murgh ki baang say pehlay hum bister say bahir kiunkay bacha party aur bilkhusus Begum Kay sath Jana Hu tu dabawu qayam rakhna parhta warna time ki pabandi in say kahan hoti. Phone gumaye yaaru ko bhi aur Bus adhay pay ikhata hunay ka bola. Mosam subah main tu guzaray laiq tah so kacha kach taxi main luday hum pohnch he paye. Bus main sawar ho gaye, main tu safar main sonay ko tarjeeh deta so Murree tak acha khasa time tah nend poori kernay ka.
Abh janay kesay waqt guzra, Kiya Kiya nazaray guzaray, hum ko Kiya khabar bhai, ankh tub khuli jub Begum nay Zor say hilaya Kay uth jayain sarkar Murree a Gaya. Pehla qadam bahir Rakhtay he aik shubnami jhunka a chuwa, tabiat taru taza si ho gaye, akhir kub say garmi Kay sataye huway thay. Rush bahut ho Gaya hay aj Kal Murree main, jahan bhi nikal jawu loog he loog. Oper say motorbikes pay launday laparhay silencer Jay baghair noise pollution phailaye huway.
Thora taza dum ho Kay aur kah pee kay hum sustanay aur gapain marnay Kay mood main. Khawateen aur bachay mall road nikal parhay.
Sham ki chai Golf club Murree main thay payee, lush green grass pay bachay bay qaboo, bhagam dhurh aur slides waghera. Khawateen apni sunghat main khush. Mosam bhi nihiyat shandar, kuch taza Hawa ka suroor.
Sham Kay sayee gehray hunay lagay. Soraj dheeray dheray ghroob hunay laga. Manzar bahut dilkush sa ho Gaya aur hum bhi kuch khoye khoye.
Raat ka khana hotel main khaya aur phir sonay ki raah Le, din bhar Kay thakay huway aur kuch mosam haseen, nend ki aghosh main Pata nahi laga kub chalay gaye.
Subah garma garam halwa puri ka nashta Kiya, khawateen musir Thora aur shipping per so hum nay bhi dukhil andazi say gureez Kiya.
Dopehar Kay khanay Kay baad, mun chalay yaaru nay wapsi ka saman e safr baandha aur hum phir sau gaye, sonay ka aik faida zaroor hay bulkay du aik tu Begum ki chikh pikh say Rahat, dusra safar ki dushwari say fursat.
Lahore pohnchtay he garmi nay asur dikha diya, juld he khushi kafoor ho gayi.
Chalain abh khatam kertay dastan apni.
Khush raha karain aur khushiyan bantain....
Rub Rakha