Jannat me hasrat.

IMG_20210712_004417_771.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Jannat me hasrat.

Ghaflat esi buri cheez he, jo insan ko jannat me ja kr bhi hasrat dilayegi.

Halanki jannat me to koi bhi baki nhi rehni chahiye.

Mgr hadees paak me farmaya gya ki insan ko jannat me kisi baat pr hasrat nhi hogi, siwaye apne guzre huye us waqt ke jo duniya me us ne Allah taala se ghafil ho kr guzara tha.

Ab ye ghaflat agr vha bhi ja kr hasrat paida kregi to sochiye ki ye kesa bura kam he.

Duniya me insan itna ghafil rehta he ki vo khuda ko yad krna bhi bhul jata he.

Khushiyon me khas kr insan khuda ko yad nhi rkhta, pr jese hi musibat aati he to log khuda ko foran yad krte he.

Allah taala hme esi ghaflat se bachye, aameen.

Shukriya.


H2
H3
H4
3 columns
2 columns
1 column
Join the conversation now